GHAZAL:
28th August 2020
Bais-e-marg
hai khafa hona
Apnay
mehboob se juda hona.
Ek
pal bhi kisay gawarah hai
Zindagi
tera be-maza hona.
Zeb
deta nahin kisi ko bhi
Aaj
achcha to kal bura hona.
Nahin
mumkin khuda ki nazron mai’n
Na-rawa
kam ka rawa hona.
Rab
hi Janay ke kyon zaruri hai
Har
khata ki yahan saza hona.
Mai’n
ne seekha hai ahl-e-haq se Kanwal
Be-sadaon
ki bhi sada hona.
------
GLOSSARY
Bais-e-marg: cause,
basis or ground for lifelessness. Mehboob: loved one. Khafa hona: to be angry.
Pal: moment.
Gawarah: pleasing; agreeable. Be-maza: tasteless; disagreeable.
Zeb dena: to
be suitable , graceful, dignified.
Na-rawa: impossible,
improper. Rawa: possible, proper.
Khata: error,
lapse, offence, misconduct.
Ahl-e-Haq:
men of God. Be-sadaon ki bhi sada hona: to be the voice of the voiceless.
--------
No comments:
Post a Comment