Tuesday 22 September 2020

GHAZAL : 22.9.2020

 

GHAZAL : 22.9.2020

Jo bhi aafat Zam’in pe aati hai

Apna paigham chod jaati hai

Umr ke aakhiri parao par

Be-khudi had se badhti jaati hai

Aas umeed ki har kashti

Mauj dar mauj dagmagati/digmagati hai

Din guzarta hai na-umeedi main

 Raat sapney naye dikhati hai

Aksar auqaat mai-kadai  ki faza/fiza

Tashnagi/tishnagi aur bhi badharti hai

Bam dar bam yun bhi hota hai

Dhoop hi dhoop chilchilati hai

Aaina dekhta hai ji bhar kar

Aisi surat jo muskrati hai

Rooh-e-tehzib har zamanay main

Peeth apni hi thapthapati hai

Jis ko sunta hai har faqir Kanwal

Woh sada aasman se aati hai

            ……………..

GLOSSARY

Aafat: Calamity, disaster, misfortune, catastrophe.

Paigham: Message, advice, warning.

Umr: life. Aakhiri: Last, final. Parao: Stage. Be-khudi: insensitiveness/rapture.

Aas umeed: Hope. Kashti: Boat.

Mauj dar mauj: Wave after wave. Dagmagati, digmagati: totters, staggers.

Na-umeedi: Disappointment; despair.

Aksar auqaat: Often, many a time. Mai-kadai: Bar, drinking house. Faza/fiza: place;environment.

Tashnagi/tishnagi: Thirst, desire, temptation.

Bam dar bam: Terrace after terrace; upper storey.

Ainah: Mirror. Ji bhar kar: To its heart’s content.

Rooh-e-tehzib: The soul of good breeding or polite, cultured behaviour.

Har zamanay main: In every age. Peeth thapthapana: Thump the back, encourage.

Sada: Voice.

                                                            ----------

 

22nd September 2020                                                      Dr.G.R.Kanwal

 

 

 

No comments:

Post a Comment