Wednesday 9 September 2020

GHAZAL (9.9.2020)

 

                GHAZAL   (9.9.2020)

Jis ne barson mujhe pukara hai

Mujh ko har lafz us ka pyara hai

Ab mera raabta bas us se hai

Be saharon ka jo sahara hai

Na khuda us taraf ghuma kashti

Behr-e gham ka jidhar kinara hai

Ye to baten hain sab purani si

Kis ki aankhon ka kon tara hai

Dar-e fani mein mat sawal karo

Kya hamara hai, kya tumahra hai

Bhool jata hai jo ravish apni

Wo muqaddar ka hi sitara hai

Wo jo donon jahan ka malik hai

Har taraf us ka hi nazara hai

Kis se poochoon, kise khabar hai Kanwal

Ye jahan kis ka istaara hai.

                        -----------

GLOSSARY

Barson: A large number of years. Pukara: called. Lafz; word.  Pyara: dear.  Raabta: contact. Na-khuda : boatman; sailor. Behr-e-gham: the sea of sorrow. Dar-e-fani: temporary world. Ravish: track; direction.  Donon jahan: Ttis and the next world. Nazara: presence; show. Istaara: metaphor; representative symbol.

                                                -----

9th September 2020               Dr.G.R.KANWAL

 

 

 

 

 

No comments:

Post a Comment