G H A
Z A
L
Saharon
par na kar takiya, sahare chhut jaate
hain
Zara
si der main sab chaand taare chhut jaate hain
Andheron
ke musafir chand jugnoo saath rakh apne
Sitaron
ka bharosa kya sitare chhut jaate hain
Nazaron
ki kashish par marne wale ko khabar kyat thi
Nazare
aarizi hain sab nazare chhut jaate hain
Ishare
bam-o-dar ke khwab ki manind hote hain
Nahin
tikte nigahon mein ishare chhut jaate hain
Kanwal
darya mein rehna hai to rakh rishta talatum se
Kinaron
ka bharosa kya kinare chhut jaate hain
GLOSSARY
Takiya karna: to depend upon.
Kashish: attraction;
allurement.
Aarizi: temporary;
accidental; not real.
Bam: Upper storey; o:
and; dar: gate
Talatum: Dashing waves
******************************
G. R. Kanwal ----- 15th
January 2022
No comments:
Post a Comment