GHAZAL : 17TH JULY
2020
Wafa daro ! wafa ko yaa rakhna
Tum apni is ada ko yad rakhna
Raison ke gharon ke shor-o-ghul main
Faqiron ki sada ko yad rakhna
Gunahon ki taraf jhuknay se pehlay
Gunahon ki saza ko yad rakhna
Mazay se ghoomna jungle main lekin
Gulistan ki faza ko yad rakhna
Zamanay ki tarah mat bhool jana
Khuda ko na-khuda ko yad rakhna
Agar jao kabhi sehra ki janib
Kanwal bad-e-saba ko yad rakhna
------
GLOSSAY
Wafa daro: Loyalists; faithful’s. Wafa: loyalty;
sincerity. Ada: nature; manner; approach; style; characteristic. Raison: rich men; nobles; people of high
ranks. Shoro ghul: noise; hustle bustle. Faqiron: spiritual wanderers. Sada:
spiritual prayer, voice. Gunahon: sins. Jhukney se pehlay: before being
allured. Saza: resultant punishment of committing sins. Mazay se: with
pleasure; cheerfully. Gulistan: garden. Faza: atmosphere; environment. Zamanay
ki tarah: like common people. Khuda: God. Na-khuda: the boatman who sails the
boat of life. Sehra: desert. Janib:
direct ion. Bad-e-saba: the cool morning breeze which is non-existent in a
desert.
----------
17th July 2020
Dr.G.R.Kanwal
No comments:
Post a Comment