GHAZAL : 3rd July 2020
Agarchih aankh meri nam nahin hai
Ye mat samjho ke dil mai’n gham nahin
hai
Bujha de har charagh-e-zindagi ko
Hawa mai’n is qadar to dam nahin hai
Chali jaati hai kuch din mai’n hi wapas
Khushi ko’I kahin har dam nahin hai
Mujhe wo ham-nafas phir mil g’ya hai
Tabi’at ab miri barham nahin hai
Praisha’n karta hai ye wahm mujh ko
Mira hamdam, mira hamdam nahin hai
Kanwal main is liye shu’lah fisha’n
hoon
Mirey gulshan ma’n ab shabnam nahin
hai.
……….
GLOSSARY
Agarchih : although; even if. Nam: moist or
wet with tears. Gham: grief; sorrow. Dam: energy; power. Wapas: return. Dam:
moment. Ham-nafas: companion; friend. Tabi’at: mind; temperament. Barham:
topsy-turvy; disturbed. Wahm: idea; imagination Hamdam: friend; loved one. Shu’lah
fisha’n : flames scatterer. Shabnam: dew.
-----
3rd Ju ly 2020 Dr. G. R. Kanwal
No comments:
Post a Comment