Wednesday 3 June 2020

G H A Z A L


                                      G H A Z A L
Gulistan-e-rango-boo mein aanay jaanay ke liye
Dhoondta phirta hoon tinke aashianey ke liye

Wo faqir-e-shahr jo gaata tha kal sulhah ke geet
Aaj keyon phirta hai socho khoon bahaney ke liye

Qabr main jaaney se pehley is liye khush  tha kisan
Char paisay mil gayey thay ghar bananay  ke liye

Us taraf jaati nahin kyun hukmaranon ki nazar
Log martay hain jahan aik aik daney ke liye

Kitney ahmaq hain wo insan jo nahin samjhey abhi
Khoobsurat ghar nahin hotay jalanay ke liye

Roshni jaati rahi to charahgar ko kya kahoon
Aankh hi aaee thi shayad  meri jaanay ke liye

Rah mein pug dundiyon ki laakh ahmiyet sahi
Rasta phir rasta  hai ik rastay pay  aaney ke liye  

Guftgoo se hi bahal jaata hai mera dil kanwal
Main nahin jaata kahin zarreen khazanay ke liye.

GLOSSSARY
Lines: 1. Colour and fragrance garden. 3. Peace, reconciliation. 5.Grave. 7.Rulers.9.Stupid. 11.Doctor, healer. 13.Tracks; importance. 15.Dialogue, conversation. Be amused,cheered. Golden treasure.

3rd June 2020                                       Dr.G. R. KANWAL

No comments:

Post a Comment