Saturday 6 June 2020

G H A Z A L


G H A Z A L

Bas apnay dukhon ki dawa chahta hun
Main is ke siwa aur kya chahta hun
Bahut sun chukka hoon tira rona dhona
Fasana ko’i ab nya chahta hun
Miray dil se uth kar naa jaao khuda ra
Main itna hi un se kaha chahta hun
Falak walo meri yeh himmat bhi dekho
Khataaon se badh kar saza chahta hun
Sabab yeh bhi hai meri naakamyion ka
Main har be-wafa se wafa chahta hun
Kanwal kuch dinon se woh kyun poochtay hain
Main kya chahta hun, main kya chahta hun.
                                    ------
GLOSSARY
 Lines: 1. Bas: only. 2. Siwa: except. 3. Rona dhona:  Profuse weeping.
4.Fasana: story. 5. Khuda ra: for God’s sake 7.Falak: Sky; heaven 8.Khataaon: mistakes; lapses; faults; guilts. 9. Sabab: reason. Naakamyion: failures 10. Be-wafa: unfaithful; disloyal. Wafa: sincerity, loyalty.
                                                                                ------
6th June 2020                                                            DR.G.R.KANWAL

1 comment:

  1. Falak walo meri yeh himmat bhi dekho
    Khataaon se badh kar saza chahta hun...........वाह बहुत ख़ूब .....जज़्बा देखिये कि कलाम देखिये
    नमस्कार , आदाब कँवल साहेब

    ReplyDelete