Saturday 20 June 2020

GHAZAL : 20TH JUNE 2020


GHAZAL : 20TH JUNE 2020


Gunahon ki saza ne maar dala
Usey aakhir khuda ne maar dala
Ujalon ki umeedain bujh gayeen, jab
Charaghon ko hawa ne maar dala
Muaalij ho gaye badnaam, jab bhi
Mareezon ko dawa ne maar dala
Jo goonga tha magar kehta tha sab kuch
Mujhe us khush nawa ne maar dala
Wo ghunchah phir na aaya gulista’n main
Jisey baad-e-saba ne maar dala
Kanwal wo kis tarah mehfooz rehta
Jisey ik dil-ruba ne maar dala
                        ……..
GLOSSARY
Maar dala: This phrase has many meanings: to kill, to murder; to attract; to fascinate; to win over; to impress admirably; to act miraculously, etc. Charagh: lamp, candle. Muaalij: Physician, doctor, healer. Goonga: dumb. Khush-nawa: One having pleasant voice.  Ghunchah: bud; rose-bud. Gulista’n; garden.  Baad-e-saba: morning breeze. Mehfooz; safe; protected; unassailed. Dil-ruba: Sweetheart; one who has won your heart.  
                                                --------
20th JUNE 2020                                DR.G.R.KANWAL    

No comments:

Post a Comment