GHAZAL: 13th
JUNE 2020
Mujhe ab kisi ka sahara nahin hai
Wo darya hoon jis ka kinara nahin hai
Sada us ki bhi kan ma’n goonjti hai
Kabhi jis ne mujh ko pukara nahin hai
Tasawwur ma’n aati thi aawaz jis ki
Wo patthar kisi ne bhi mara nahin hai
Chalo us kharabe ma’n phir sar ko
phore’n
Jahan ab ko’I bhi hamara nahin hai
Na ho ko’i apna sabhi ajnabi ho’n
Mujhe wo zamana gawara nahin hai
Mirey aasma’n par hai’n badal dhu’en
ke
Wahan ko’I roshan sitara nahin hai
Kanwal chahtey ho jise tum wo dilbar
Kisi aur ka hai tumhara nahin hai.
GLOSSARY
Sada: voice, sound. Tasawwur: imagination. Kharabe: Ruined place.
Gawara: Acceptable.
Dilbar: Loved one.
13th JUNE 2020 DR.G.R.KANWAL
BOHOT PYARI GHAZAL.
ReplyDelete