GHAZAL
: 2ND JANUARY 2021
Jis ney barson mujhe pukara hai
Us ka har
lafz mujh ko payara hai.
Ab mera
raabta bus us se hai
Be-saharon ka
jo sahara hai.
Na-khuda us
taraf ghuma kashti
Behr-e-gham
ka jidher kinara hai.
Dar-e-fani
mein mut sawal karo
Kya hamara
hai, kya tumhara hai.
Woh jo donon
jahan ka maalik hai
Har taraf us
ka hi nazara hai.
Kis se poochoon,
kisey khabar hai Kanwal
Yeh jahan
kis ka istaara hai.
*******
GLOSSARY
1.Raabta:
connection. 2.Na-khuda: boatman; sailor. 3.Behr-e-gham: the sea of sorrow.
4.Dar-e-fani: this perishable world. 5.Donon jahan ka maalik: God. 6. Nazara:
spectacle; show. 7. Istaara: metaphor; symbolic representation.
--------
G. R.
Kanwal
No comments:
Post a Comment