Ghazal : 6th October 2020
Daud mat aiy ham-safar, aahista chal
Har qadam
hai pur-khatar , aahista chal
Laghzishain
sab jaan leva hain yahan
Keh rahi
rehguzar , aahista chal
Aaftain
mandla rahi hain har taraf
Zad main
hai dil ka nagar, aahistan chal
Tez
raftari ka hasil maut hai
Aiy
rafiq-e be-khabar, aahista chal
Waqt thoda
sa bachanay ke liye
Jaan ka
sauda na kar, aahista chal
Raastey main
hi nahin rehna tujhey
Laut kar jaana
hai ghar, aahista chal
Har qadam
par, har musafir se Kanwal
Keh raha
tha, rahbar, aahista chal.
……….
GLOSSARY
Ham-safar:
co-traveller. Aahista chal: walk slowly. Har qadam: every step. Pur-khatar:
risky.
Laghzishain:
lapses, errors, mistakes. Jaan leva: life-threatening. Rehguazar: pathway,
track.
Aaftain: calamities,
misfortunes, afflictions. Mandlana: to hover. Zad main hona: to be within
hitting distance. Dil ka nagar: the city of the heart.
Tez-raftari:
fast movement. Hasil: result. Aiy
rafiq-e be-khabar: O my unwary companion.
Jaan ka
sauda na kar: do not stake your life.
Musafir:
travller. Rahbar: Guide.
---------
No comments:
Post a Comment